Saturday, August 17, 2013

Khujlee

Tera yoon paas na aana mujhe khujlaata hai
Saton din yoon na nahana mujhe khujlaata hai.

Desh kaa haale muqaddar mujhe khujlaata hai.
Gandhi topi ka samandar mujhe khujlaata hai.

Unki magroor imarat mujhe khujlaati hai
Antilia ki yey himakat mujhe khujlaati hai.

In makanon ki yey ghichpich mujhe khujlaati hai
Roti kapdey ki yey khichkhich mujhe khujlaati hai.

TV soap-on ki haqiqat mujhe khujlaati hai
Sabun aur paani ki killat mujhe khujlaati hai.

Tera yoon paas na aana mujhe khujlaata hai
Saton din nahan na paana mujhe khujlaata hai.


तेरा यूं पास ना आना मुझे खुजलाता है
सातों दिन यूं न नहाना मुझे खुजलाता है।

देश का हाले मुक्कदर मुझे खुजलाता है
गाँधी टोपी का समंदर मुझे खुजलाता है।

उनकी मग़रूर ईमारत मुझे खुजलाती है
अन्तिलिया की ये हिमाकत मुझे खुजलाती है।

इन मकानों की ये घिचपिच मुझे खुजलाती है
रोटी कपड़े की ये खिचखिच मुझे खुजलाती है।

टीवी सोप-ओं की हकीक़त मुझे खुजलाती है
साबुन और पानी की किल्लत मुझे खुजलाती है।

तेरा यूं पास ना आना मुझे खुजलाता है
सातों दिन नहा ना पाना मुझे खुजलाता है।

No comments: